Baat Kuch Teri Meri !

Bohot hui baat logon ki,

Kuch baat ab teri meri rakhta hun.

Do kadam tu badhaye,

Kadam chaar mai rakhta hun.

Ye hawa yunhi to behti hai,

Baatein mere mann ki kahan tujhse kehti hai.

Bohot hui baat mausam ki,

Kuch baat ab teri meri rakhta hun.

Thoda kareeb tu aaye,

Darmiyaan baahein mai rakhta hun.

Do pal paas aakar roz bichadna hota hai,

Agli mulaqat k liye waqt se ladna hota hai.

Bohot hui baat waqt ki,

Kuch baat ab teri meri rakhta hun.

Thoda tu ise nakar,

Thodi beparwahi mai karta hun.

Waado me bandh kar chalna mushkil hota hai,

Ye roothna manana mujhse nahi hota hai.

Bohot hui baat waado ki,

Kuch baat ab teri meri karta hun.

Tu muskura kar haath me haath de,

Pyar thoda mai karta hun.

Source- https://www.facebook.com/satyavrit

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.